UMANG App Ki Service Ke Bare Me Jankari
Umang app ko launch karte hi government ne bahut sari service esme already de di hai or bad me bhi bahut si new service add karne vali hai me aapko eski service ke bare me btata hu
CBSE : Agar aap cbse student hai to aap apna exam center details or results es app ki help se dekh sakte hai
NCERT : student ke liye yah service bahut hi khas hai ncert ki books aapko umang me subject wise padne ko mil jayegi vo bhi bahut aasani se
AICTE: aap AICTE approved institutes or courses ke bare me search kar sakte hai
Soil Health Card: aap apni khet ki soil ki health report check kar sakte hai
PMKVY : Pradhan Mantri Kaushal Vikas Yojana ke bare me aap dekh sakte hai
Crop Insurance: aap apni fasal ka insurance kar sakte hai
ORS: Online Registration System aap india ke top leval ke hospital me appointments book kra sakte hai umang app se
UMANG App Kaise Use Kare ?
Sabse pahle aap apne android mobile me play store open kare or usme umang likhkar search kare aapko result me first app show hoga usko install karle
App install karne ke bad aapko usme apna new account banana hai account banane ke liye new user par click karke apne aadhar ya mobile number se registration karna hoga
agar aap aadhar id se account create karte hai to aapke aadhar me register mobile number par otp aayega fir aap registration kar payenge
ab aapko UMANG app ke bare puri jankari mil gyi hogi eski sabhi service ko use karne ke liye all service option par click kare
meri yah jankari aapko kaisi lagi comment karke bataye ...
No comments:
Post a comment
Note: only a member of this blog may post a comment.