➤Kaise Change Kare Apne Purane 500 or 1000 Rupay ?
Aap bank,ATM or post office se nye 500 or 2000 ke note prapt kar sakte he lekin eske liye sarkar ne kuch rule banaye he or paisa nikalane ki kuch limit bhi rakhi gyi he.ydi aapke paas purane note padhe he to aap unko bank me jama karvake nye note prapt kar sakte he eske liye aapke paas bank account hona jaroori he.
➤Bina Bank Account 500 or 1000 ke Purane Note Exchange Kaise Kare ?
jin logo ke paas bank account nhi he vo log bhi bank me jakar purana paisa change karva sakte he eske liye bank me aapko ek note exchange karvane ki slip bharke deni padhegi or uske sath apna ek id proof bhi lagana padhega jisse aapki pahsan ho sake or eske sath ek application likh kar bank me jama karaye jisme aap likhe ki aap jo paisa exchange karva rahe he vo aapne kaise kamaya ya kha se prapt kiya.
° Onilne Taxi Booking Kaise Kare Puri Jankari Hindi Me
Note Exchange karne ki slip ko es prakar bhare...
1. Es colum me aap jis bank se paisa change karva rahe he uska naam or branch name likhe.
2. Esme aap apna name likhe jo aapke id proof me ho.
3. Es colum me diye proof me se jo aap es slip ke sath laga rahe he uske uper nishan lagaye.
4. Esme upar jis i'd proof par nishan lagaya uska number likhe jaise yadi aapne aadhar card par nishan lagaya he to aadhar number likhe.
5. Es table me aapke paas 500 or 1000 ke kitne kitne note he voh likhe or unki total value nise sabdo me likhe.
6. Es colom me aap apne signature kare.
7. Esme aap jis din paisa change karva rhe he us din ki date likhe.
Note:- Es tarike se aap ek din me adhiktam 4500 rupay or ek week me 24000 rupay tak change kara sakte hai.yah limit sarkar dvara badayi ya ghatayi ja sakti he.
0 comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.